galī akelī hai pyāre añdherī rāteñ haiñ
agar milo to sajan sau tarah kī ghāteñ haiñ
butāñ siiñ mujh kuuñ tū kartā hai man.a ai zāhid
rahā huuñ sun ki ye bhī ḳhudā kī bāteñ haiñ
azal siiñ kyuuñ ye abad kī taraf kuuñ dauḌeñ haiñ
vo zulf dil ke talab kī magar barāteñ haiñ
raqīb ijz siiñ ma.aqūl ho sake haiñ kahīñ
ilaaj un kā magar jhagḌeñ haiñ va lāteñ haiñ
karo karam kī nigāhāñ taraf faqīroñ kī
nisāb-e-husn kī sāhab yahī zakāteñ haiñ
rahīñ falak ke sadā her-pher meñ nāmard
ye rañDiyāñ haiñ ki charḳhā hamesha kāteñ haiñ
likhūñgā 'ābrū' ab ḳhush-nayan kuuñ maiñ naamā
palak qalam haiñ mirī mardumuk davāteñ haiñ