Qateel Shifai

agarche mujhko judai teri gawara nahin

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
agarche mujh ko judā.ī tirī gavārā nahīñ
sivā.e is ke magar aur koī chāra nahīñ
ḳhushī se kaun bhulātā hai apne pyāroñ ko
qusūr is meñ zamāne kā hai tumhārā nahīñ
tumhāre zikr se yaad aa.e kyā ghaTā ke sivā
hamāre paas koī aur isti.ārā nahīñ
ye iltifāt kī bhiik apne paas rahne de
tire faqīr ne dāman kabhī pasārā nahīñ
mirā to sirf bhañvar tak safīna pahuñchā hai
tujhe to Dūbne vāloñ ne bhī pukārā nahīñ
har ek rabt tire vāste se thā varna
bhare jahāñ meñ koī āshnā hamārā nahīñ
jo terī diid ne baḳhshe vahī haiñ zaḳhm bahut
ab apne dil meñ koī hasrat-e-nazāra nahīñ
banā sakūñ jise jhūmar tumhāre māthe kā
falak pe aaj bhī aisā koī sitārā nahīñ
chalā.e jaao 'qatīl' apnā kārobār-e-vafā
jo is meñ jaan bhī jaa.e to kuchh ḳhasārā nahīñ
Top Urdushayar.com