Abroo Shah Mubarak

dekh tu be-rahm aashiq nin tujhe chhoDa nahin

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733
dekh tū be-rahm āshiq niiñ tujhe chhoḌā nahīñ
kis qadar be-rūiyāñ dekhīñ pa muñh moḌā nahīñ
ek chaspāñ hai tujhī par ḳhush-numā.ī kī qabā
dūsrā kui jāma-zeboñ meñ tirā joḌā nahīñ
laT-paTe saj niiñ tire dil kuuñ kiyā hai loT-poT
varna aalam biich Tuk bandoñ kā kuchh toḌā nahīñ
dekhnā shīrīñ kā us kuuñ saḳht laagā sañg meñ
be-sabab farhād niiñ patthar siiñ sar phoḌā nahīñ
aadmī darkār nahiñ sarkār meñ haivān DhūñDh
kaun būjhe yaañ sipāhī ke ta.iiñ ghoḌā nahīñ
jiiv ne marne meñ haq uupar tavakkul hai use
'ābrū' niiñ zaḳhm ke khāne meñ haath oḌā nahīñ
Top Urdushayar.com