sair-e-bahār-e-husn hī añkhiyoñ kā kaam jaan
dil kuuñ sharāb-e-shauq kā sāġhar mudām jaan
tarz-e-nigāh-e-ijz yahī arz-e-hāl hai
ai ramz-dāñ haman ke añkhiyoñ kā kalām jaan
rusvā kareñge tujh kuuñ jagat meñ nihāl-e-ashk
añjhuvāñ kuuñ dasht aur saf-e-mizhgāñ ko shaam jaan
terī galī meñ diida o dil farsh-e-rāh haiñ
āhista Tuk qadam kuuñ rakh ai ḳhush-ḳhirām jaan
vahdat meñ be-ḳhudī kā ibādat huā hai naam
mai-ḳhāne kuuñ adab setī bait-ul-harām jaan
teġh-e-ajal suuñ kis kā salāmat rahā hai jiiv
shoḳhī siiñ jab nigāh kareñ qatl-e-ām jaan
us kuuñ sharaf hai jis kī kareñ bandagī qubūl
jo 'ābrū' talab haiñ so apnā ġhulām jaan