Abroo Shah Mubarak

na pawe chaal tere ki piyare ye Dhalak dariya

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733
na paave chaal tere kī piyāre ye Dhalak dariyā
chalā jaave agarche rovtā mahshar talak dariyā
kahāñ aisā Mubakkī ho ki jaave tā-falak dariyā
nahīñ ham-chashm mere ashk kā maare hai jhuk dariyā
huā hai chashm-e-hairat dekh terī aab raftārī
kināre nahiñ rahā hai khol in donoñ palak dariyā
bhar aave āb-e-hasrat us ke muñh meñ jab lahar aave
agar dekhe tire in narm gāloñ ke thalak dariyā
nahīñ haiñ ye hubāb aate haiñ jo nazroñ meñ mardum kī
jalan mujh ashk kī siiñ dil meñ rakhtā hai phalak dariyā
agar ho koh to rele siiñ is lashkar ke chal jaave
kahāñ saktā hai mujh añjhuvāñ kī faujāñ siiñ aTak dariyā
asar karne kā nahiñ sañgīñ-dilāñ meñ rovnā hargiz
karāre saḳht haiñ be-jā rahā hai sar paTak dariyā
yaqīñ aayā kiyā jab us ke ta.iiñ paanī siiñ bhī patlā
hamāre ashk kī garmī meñ kuchh rakhtā thā shak dariyā
nahīñ mumkin hamāre dil kī ātish kā bujhā saknā
kare gar abr-e-tūfāñ-ḳhez kuuñ aa kar kumak dariyā
na hove 'ābrū' ḳhāna-ḳharābī kyuuñ ki mardum kī
kyā añjhuvāñ meñ mere ab samā siiñ tā-samak dariyā
Top Urdushayar.com