Abroo Shah Mubarak

ye sabza aur ye aab-e-rawan aur abr ye gahra

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733
ye sabza aur ye āb-e-ravāñ aur abr ye gahrā
divāna nahiñ ki ab ghar meñ rahūñ maiñ chhoḌ kar sahrā
añdherī raat meñ majnūñ ko jañgal biich kyā Dar hai
papīhā ko kalā kyuuñ mil ke de haiñ har ghaḌī pahrā
gayā thā raat jhaḌ badlī meñ zālim kis taraf kuuñ tū
taḌap siiñ dil mirā bijlī kī juuñ ab lag nahīñ Thahrā
vo kākul is tarah ke haiñ balā kaale ki jo dekhe
to mar jā naag us kā aab ho jā ḳhauf siiñ zahrā
esī kahānī bikaT hai ishq kāfir kī jo dekhe
to roveñ nuh falak aur chashm ho jaañ un kī nau nahrā
ravāñ nahiñ tab.a jis kī sher-e-tar kī tarz paane meñ
nahīñ hotā hai us kuuñ 'ābrū' ke harf siiñ bahrā
Top Urdushayar.com