kis kī rakhtī haiñ ye majāl añkhiyāñ
ki dekheñ mukh tirā sambhāl añkhiyāñ
surma siitī banā siyāh baran
aaj dil kuuñ huī haiñ kaal añkhiyāñ
raqs añjhuvāñ kā be-usūl nahīñ
kaf-e-mizhgāñ suuñ de haiñ taal añkhiyāñ
jab uThātī haiñ girya siiñ tūfāñ
kaf-e-dariyā kareñ rumāl añkhiyāñ
said karne kuuñ dil ke mizhgāñ suuñ
rūpte haiñ banā ke jaal añkhiyāñ
dil kuuñ ik til nahīñ mire ārām
lagī haiñ jab suuñ tere naal añkhiyāñ
dil kī ḳhūnīñ agar nahīñ to kyuuñ
is qadar haiñ tumhārī laal añkhiyāñ
tīr-e-mizhgāñ kamān-e-abrū siiñ
mārtī haiñ jigar meñ bhaal añkhiyāñ
'ābrū' jab kabhī nigāh kareñ
tab le jaañ tan siiñ jī nikāl añkhiyāñ