tumhārī jab siiñ aa.ī haiñ sajan dukhne ko laal añkhiyāñ
huī haiñ tab siiñ duunī ḳhushnumā sāhab-e-jamāl añkhiyāñ
qayāmat aan hai is vaqt meñ un par nazākat kī
dekho aa.ī haiñ dikhne kis jhamak siiñ ye chhināl añkhiyāñ
aise kyuuñ TuuT aa.iiñ josh siiñ pyāre harārat ke
lagī thī garm ho kar is qadar ye kis ke naal añkhiyāñ
ilaaj un kā hai pyāre āshiqoñ ke sañg kī haldī
rañgeñ is meñ kaho kapḌā kareñ apnā rumāl añkhiyāñ
mirā dil poTlī kī tarah un par le ke Tuk phero
mujarrab ToTkā hai is meñ aa jāñgī bahāl añkhiyāñ
zarar hai tund ho kar dekhnā bīmār kuuñ pyāre
Tuk ik parhez kar āshiq pe do din mat nikāl añkhiyāñ
mirā dukhtā hai jī ye anmanāhaT dekh kar un kā
ubaltā hai bahut jab dekhtā huuñ maiñ malāl añkhiyāñ
nazar badtā huuñ apnī jān-o-jī ko maiñ karūñ sadqe
agar deveñ mujhe apnī shifā hone kī faal añkhiyāñ
sazā hai un ke ta.iiñ ye dard thoḌā sā ki kartī thiiñ
hamesha chashm-poshī 'ābrū' kā dekh haal añkhiyāñ