sarsoñ lagā ke paañv talak dil huā huuñ maiñ
yaañ lag hunar meñ ishq ke kāmil huā huuñ maiñ
sekūñ nigāh-e-garm siiñ ḳhush-chashm kī mujhe
shamshīr us bhuvāñ ke siiñ ghāyal huā huuñ maiñ
mānind-e-āsmāñ hai mushabbak mirā jigar
kis kī nigah siiñ aaj muqābil huā huuñ maiñ
bhārī hai dekhnā mirā tujh kan raqīb kuuñ
chhātī pe us kī aaj bajarsil huā huuñ maiñ
zulf-e-mutavval o dahan-e-muḳhtasar kuuñ dekh
tere daras ke ilm meñ fāzil huā huuñ maiñ