kanhayyā kī tarah pyāre tirī añkhiyāñ ye sāñvariyāñ
kareñgī hind meñ da.avā ḳhudā.ī kā ham aTkaliyāñ
huā hai ham kuuñ duniyāñ meñ mayassar sair jannat kā
milīñ haiñ zauq siiñ phirne kuuñ apne yaar kī galiyāñ
miyāñ kahne siiñ un kutte raqīboñ ke tum āshiq par
ite jo gurfi'shī karte ho ye bāteñ nahīñ bhaliyāñ
esī kyuuñ rasmasī marjān aur kyuuñ laal haiñ añkhiyāñ
agar tum niiñ karī nahiñ ġhair siiñ mil raat rañg-raliyāñ