ratā hai abruvāñ par haath aksar lāvabālī kā
hunar sīkhā hai us shamshīr-zan ne bed-e-mālī kā
har ik jo uzv hai so misra-e-dilchasp hai mauzūñ
magar dīvān hai ye husn sar-tā-pā jamālī kā
nagīñ kī tarah dāġh-e-rashk suuñ kaalā huā laalā
liyā jab naam gulshan meñ tumhāre lab kī laalī kā
raqībāñ kī huā nāchīz bātāñ sun ke yuuñ bad-ḳhū
vagarna jag meñ shohrā thā sanam kī ḳhush-ḳhisālī kā
hamāre haq meñ nādānī suuñ kahnā ġhair kā maanā
gilā ab kyā karūñ us shoḳh kī maiñ ḳhurd-sālī kā
yahī charchā hai majlis meñ sajan kī har zabāñ upar
mirā qissa goyā mazmūñ huā hai sher-e-hālī kā
tumhārā qudratī hai husn ārā.ish kī kyā hājat
nahīñ muhtāj ye bāġh-e-sadā-sarsabz maalī kā
lage hai shīrīñ us ko saarī apnī umr kī talḳhī
maza paayā hai jin āshiq niiñ tere sun ke gaalī kā
mubārak naam tere 'ābrū' kā kyuuñ na ho jag meñ
asar hai yū tire dīdār kī farḳhunda-fālī kā