sāya-e-zulf siyah-fām kahāñ tak pahuñche
jaane ye silsila-e-shām kahāñ tak pahuñche
duur ufuq paar sahī pā to liyā hai tujh ko
dekh ham le ke tirā naam kahāñ tak pahuñche
ye sisaktī huī rāteñ ye bilakte manzar
ham bhī ai sāya-e-gulfām kahāñ tak pahuñche
na kahīñ sāya-e-gul hai na kahīñ zikr-e-habīb
aur ab gardish-e-ayyām kahāñ tak pahuñche
ham to rusvā the magar un kī nazar bhī na bachī
ham pe aa.e hue ilzām kahāñ tak pahuñche
mutma.in garmī-e-ehsās-e-jafā se bhī nahīñ
dil ko pahuñche bhī to ārām kahāñ tak pahuñche
un kī āñkhoñ ko diye the jo mirī āñkhoñ ne
kis se pūchhūñ ki vo paiġhām kahāñ tak pahuñche