qayāmat raag zālim bhaav kāfir gat hai ai pannā
tumhāre husn so dekhe so ik aafat hai ai pannā
sughaḌ jitne haiñ ye ye sab tujhī ko pyaar karte haiñ
siyāne sau hai par un sau kī ik hī mat hai ai pannā
lagā jaatī hai apnā daañv aur merā bachā jaatī
tū apne kaam meñ bāñkait aur rāvat hai ai pannā
tirī kanchan baran sī deh jis kī god meñ hove
use duniyā ke ayyāshoñ meñ kyā daulat hai ai pannā
nahīñ letī hamārā naam ham kuuñ yaañ talak bhūlī
tujhe ham aur kuchh ab kyā kaheñ rahmat hai ai pannā