Abroo Shah Mubarak

palang kun chhoD Khaali god sin jab uTh gaya mita

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733
palañg kuuñ chhoḌ ḳhālī god siiñ jab uTh gayā miitā
chitar-kārī lagī khāne haman kuuñ ghar huā chītā
banā.ī be-navā.ī kī juuñ tarah sab se chhuḌe ham niiñ
tujh auroñ ko liyā hai saath apne ik nahīñ miitā
sirat ke taar abjad ek sur ho mil ke sab bole
ki jis kuuñ gyaan hai us jaan kuuñ har taan hai giitā
judā.ī ke zamāne kī sajan kyā zyādtī kahiye
ki us zālim kī jo ham par ghaḌī guzrī so jug biitā
muqarrar jab ki jāñ-bāzoñ meñ us kā ho chukā marnā
huā tab is qadar ḳhush-dil goyā āshiq ne jag jiitā
lagā dil yaar siiñ tab us ko kyā kaam 'ābrū' setī
ki zaḳhmī ishq kā phir maañg kar paanī nahīñ piitā
Top Urdushayar.com