kaho tum kis sabab rūThe ho pyāre be-gunah ham siiñ
churāne kyuuñ lagī haiñ yuuñ tirī añkhiyāñ nigah ham siiñ
itī nā-mehrbānī kyuuñ karī nāhaq ġharīboñ par
kiyā kyā ham niiñ zālim apne jī kī baat kah ham siiñ
kyā thā naqd-e-jāñ apnā nisār is vāste tum par
ki be-taqsīr yuuñ dil meñ rakhoge tum girah ham siiñ
taġhāful chhuḌnā zālim be-takalluf ho sitam mat kar
kapaT kī āshnā.ī ye nahīñ saktī nibah ham siiñ
tumhārī tarah milnā chhoḌ kar bedard ho rahnā
kaho kyūñ-kar ye saktā hai jite jiyo ye gunah ham siiñ
lage haiñ ġhair-farzīñ kī tarah mil kaj-ravī karne
hamesha jo ki khā jaate haiñ sab bātoñ meñ shah ham siiñ
maiñ apnī jaan siiñ hāzir huuñ lekin 'ābrū' to rakh
ḳhudā ke vāste iitā bhī rūkhā tū na rah ham siiñ