Abroo Shah Mubarak

kyun band sab khule hain kyun chir aTpaTa hai

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733
kyuuñ band sab khule haiñ kyuuñ chiir aTpaTā hai
kyā qatl kuuñ hamāre ab ThāTh yuuñ ThaThā hai
is vaqt meñ pyāre ham kuuñ sharāb diije
dekho to kyā huā hai rījho to kyā ghaTā hai
birhan ke nain ro ro jogī baran hue haiñ
kājar bhabhūt anjhū maalā palak jaTā hai
ḳhvāh lāThiyoñ siiñ maaro ḳhvāh ḳhaak meñ lathāḌo
āshiq kā dil piyāre chaugān kā baTā hai
lab kuuñ añkhiyoñ kuuñ mukh kuuñ bar kuuñ kamar kuuñ qad kuuñ
in sab ko chāhtā hai TukḌe ho dil baTā hai
sāmān-e-aish ham kuuñ asbāb-e-ġham hue haiñ
ḳhūn-e-jigar hai sahbā baḳht-e-siyah ghaTā hai
kyā rañg hai tumhāre ruḳhsār kā sirījan
jis par nazar kare siiñ gul kā jigar phaTā hai
āshiq kī 'ābrū' hai ḳhvārī meñ jaan denā
nāmard vo kahāve jo ishq siiñ haTā hai
Top Urdushayar.com