Abroo Shah Mubarak

kya shoKH achpale hain tere nayan mamola

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733
kyā shoḳh achpale haiñ tere nayan mamolā
jin kuuñ narakh jale haiñ sab manharan mamolā
bar meñ ḳhayāl ke bhī kyūñkar ke aa sake dil
nāzuk hai jaan setī terā badan mamolā
jo ik nigah karo tum karte ho kaam so tum
sīkhe kahāñ siiñ ho tum ye makr-o-fan mamolā
āzād sab jagat ke aa kar ġhulām hoveñ
jab būdlī banāve apnā baran mamolā
qad sarv chashm nargis ruḳh gul dahān ġhuncha
kartā huuñ dekh tum kuuñ sair-e-chaman mamolā
har raat sham.a ke juuñ jaltī hai jaan merī
jab siiñ lagī hai tum siiñ dil kī lagan mamolā
Top Urdushayar.com