Abroo Shah Mubarak

kahen kya tum sun be-dard logo kisi se ji ka maram na paya

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733
kaheñ kyā tum suuñ be-dard logo kisī se jī kā maram na paayā
kabhī na būjhī yathā hamārī birah niiñ kyā ab hameñ satāyā
lagā hai birhā jigar kuuñ khāne hue haiñ tīroñ ke ham nishāne
deveñ haiñ sauteñ haman kuuñ ta.ane ki tujh ko kab.hūñ na muñh lagāyā
rakhe na dil meñ kisī kī chintā gale meñ Daale birah kī kanThā
daras kī ḳhātir tumhāre mantā bhikāran apnā baran banāyā
lagī haiñ jī par birah kī ghāteñ talaf talaf kar bahā.eñ rāteñ
tumhārī jin niiñ banā.īñ bāteñ akārat apnā janam gañvāyā
gilā mamolā ye sab abas hai apas ke ochhe karam kā jas hai
hamārā pyāre kaho kyā bas hai tumhāre jī meñ agar yuuñ aayā
jo dukh paḌegā sahā karūñgī jase kahoge rahā karūñgī
tuman kuuñ nis din duā karūñgī sakhī salāmat raho ḳhudā-yā
Top Urdushayar.com