mohabbat sehr hai yaaro agar hāsil ho yak-rūī
ye afsūñ ḳhuub asar kartā hai lekin jabki jādūī
ḳhayāl-e-mā-sivā siiñ saaf kar tū apne siine kuuñ
ki dil ke riahrta-e-iḳhlās kuuñ lāzim hai yaksūī
libās-e-pumbai bin kyūñke guzre mausam-e-sarmā
qayāmat hai ye terī sard-mehrī tis pe ye sardī
añdherā aa gayā āñkhoñ ke aage ḳhashm suuñ merī
jabhī us chhokare kī bul-havas neñ zulf Tuk chhūī
pasīne siiñ tire ai shoḳh bū aatī hai daarū kī
etī ai fitnagar sīkhī kahāñ siiñ tū neñ bad-ḳhūī
muqābil duḳhtar-e-raz kī jabhī vo muġhbacha bolā
ab us ke dekh maare shauq ke paanī ho karchūī
hue phirte ho dushman 'ābrū' ke ai sajan ab to
kaho ulfat dilī aur dostī jaanī vo kyā huī