nahīñ ghar meñ falak ke dil-kushā.ī
kahāñ hotī hai yahāñ merī samā.ī
kare jo bandagī so ho gunahgār
nyārī hai yahāñ kī kuchh ḳhudā.ī
zabah karne kuuñ nāhaq be-kasoñ ke
batā terī kamar ye kin kasā.ī
tum apnī baat ke raajā ho pyāre
kahīñ siiñ zid tumheñ ho hai sivā.ī
chaman kuuñ jiit aa.e naaz bū jab
tumhāre sabza-e-ḳhat niiñ harā.ī
sapīdī qand kī phīkī lagī jab
tumhāre rañg kī dekhī girā.ī
bahā ḳhūn-e-jigar añkhiyoñ señ pal pal
sajan bin raat ham kuuñ yuuñ bahā.ī
nahīñ Tikne kā paañv 'ābrū' kā
galī kī raah us ke haat aa.ī