Abroo Shah Mubarak

aaya hai subh nind sun uTh rasmasa hua

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733
aayā hai sub.h niiñd suuñ uTh rasmasā huā
jaama gale meñ raat ke phūloñ basā huā
kam mat gino ye baḳht-siyāhoñ kā rañg-e-zard
sonā vahī jo hove kasauTī kasā huā
andāz siiñ ziyāda nipaT naaz ḳhush nahīñ
jo ḳhaal had se ziyāda baḌhā so masā huā
qāmat kā sab jagat munīñ baalā huā hai naam
qad is qadar buland tumhārā rasā huā
zāhid ke qadd-e-ḳham kuuñ musavvir ne jab likhā
tab click haath biich jo thā so asā huā
dil yuuñ Dare hai zulf kā maarā vo phūñk siiñ
rassī siiñ azhdahe kā Dare juuñ Dasā huā
ai 'ābrū' aval señ samajh pech ishq kā
phir zulf siiñ nikal na sake dil phañsā huā
Top Urdushayar.com