āshiq bipat ke maare rote hue jidhar jaañ
paanī siiñ us taraf kī rāheñ tamām bhar jaañ
mar kar tire labāñ kī surḳhī ke ta.iiñ na pahuñche
har chand sa.ī kar kar yāqūt-o-la.al-o-marjāñ
jañgal ke biich vahshat ghar meñ jafā o kulfat
ai dil batā ki tere maare ham ab kidhar jaañ
ik arz sab siiñ chhup kar karnī hai ham kuuñ tum siiñ
raazī ho gar kaho to ḳhalvat meñ aa ke kar jaañ