Abroo Shah Mubarak

dekho to jaan tum kun manate hain kab seti

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733
dekho to jaan tum kuuñ manāte haiñ kab setī
bolo ḳhudā ke vāste Tuk laal lab setī
mukhḌā tirā hai jaan ye achraj tirā kā chāñd
rozāna aur ḳhuub jhalaktā hai shab setī
zulfāñ kuuñ kah ki dil kuuñ kareñ aap meñ siiñ duur
ye pech-o-tāb un kuuñ hai us ke ta.ab setī
dast-e-salām sar ke upar naqsh-e-pā hai ab
har-chand ḳhāk-e-rāh huā huuñ adab setī
paanī meñ Duub aag meñ jal kar maro pe ek
āshiq na ho pukār ke kahtā huuñ sab setī
harjā.iyo har ek siiñ lālach nahīñ hai ḳhuub
hai bhiik maañg khānā bhalā is kasab setī
bāñdhā hai barg-e-tāk kā kyuuñ sar pe sehra
kiyā 'ābrū' kā byaah hai bint-ul-enab setī
Top Urdushayar.com