Abroo Shah Mubarak

jalte the tum kun dekh ke ghair anjuman mein hum

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733
jalte the tum kuuñ dekh ke ġhair anjuman meñ ham
pahuñche the raat sham.a ke ho kar baran meñ ham
tujh bin jagah sharāb kī piite the dam-ba-dam
piyāle siiñ gul ke ḳhuun jigar kā chaman meñ ham
laate nahīñ zabān pe āshiq diloñ kā bhed
karte haiñ apnī jaan kī bāteñ nayan meñ ham
marte haiñ jaan ab to nazar bhar ke dekh lo
jiite nahīñ raheñge sajan is yathan meñ ham
aatī hai us kī bū sī mujhe yāsman meñ aaj
dekhī thī jo adā ki sajan ke badan meñ ham
jo kui ki haigā aap kuuñ rakhtā hai aap aziiz
yūsuf haiñ apne dil ke miyāñ pairahan meñ ham
kyuuñ kar na hove click hamārā guhar-fishāñ
karte haiñ 'ābrū' ye taḳhallus suḳhan meñ ham
Top Urdushayar.com