Abroo Shah Mubarak

kaman hua hai qad abru ke gosha-ghiron ka

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733
kamāñ huā hai qad abrū ke gosha-gīroñ kā
tabāhe haal tirī zulf ke asīroñ kā
Dhale hai jis pe dil tis kā kiyā hai zāhir ism
vahī hai vo ki jo marja.a hai in zamīroñ kā
har ek sabz hai hindostān kā ma.ashūq
bajā hai naam ki bālam rakhā hai khīroñ kā
murīd piiT ke kyuuñ na.ara-zan na hoñ un kā
burā hai haal ki laagā hai zaḳhm pīroñ kā
birah kī raah meñ jo kui girā so phir na uThā
qadam phirā nahīñ yaañ aa ke dast-gīroñ kā
vo aur shakl hai kartī hai dil ko jo tasḳhīr
abas hai shaiḳh tirā naqsh ye lakīroñ kā
sailī meñ juuñ ki laTakkā ho 'ābrū' yuuñ dil
sajan kī zulf meñ laTkā liyā faqīroñ kā
Top Urdushayar.com