jab se asīr-e-zulf-e-girah-gīr ho gayā
meñ be-niyāz-e-halqa-e-zanjīr ho gayā
jaatā kahāñ bhalā tirī mahfil ko chhoḌ kar
maiñ apne aap paañv kī zanjīr ho gayā
nūr-e-jahāñ koī na koī yuuñ to sab kī thī
daulat se ek shaḳhs jahāñgīr ho gayā
mujh meñ rachī huī tirī ḳhushbū thī is liye
baḌh kar adū bhī mujh se baġhal-gīr ho gayā
phir bāñdh lī kisī se ummīd-e-vafā 'qatīl'
phir ik mahal havāoñ meñ ta.amīr ho gayā