kyā is kā gilā kiije use pyaar hī kab thā
vo ahd-e-farāmosh vafādār hī kab thā
us ne to sadā puuje haiñ uḌte hue jugnū
vo chāñd-sitāroñ kā parastār hī kab thā
ham Duub ga.e jāgtī rātoñ ke bhañvar meñ
haath us kā hamāre liye patvār hī kab thā
aamoñ kī hasīñ rut ke sivā bhī to vo kuuke
lekin kisī koyal kā ye kirdār hī kab thā
āvāz jo maiñ duuñ to kisī aur ko chhū le
is āñkh-micholī se vo bezār hī kab thā
tum us ko bure naam se yaaro na pukāro
ye naam use bā.is-e-āzār hī kab thā
mash.hūr-e-zamāna haiñ 'qatīl' us kī uḌāneñ
vo dām-e-mohabbat meñ giraftār hī kab thā