ham ko to intizār-e-sahar bhī qubūl hai
lekin shab-e-firāq tirā kyā usuul hai
ai māh-e-nīm-shab tirī raftār ke nisār
ye chāñdnī nahīñ tire qadmoñ kī dhuul hai
kāñTā hai vo ki jis ne chaman ko lahū diyā
ḳhūn-e-bahār jis ne piyā hai vo phuul hai
dekhā thā ahl-e-dil ne koī sarv-e-nau-bahār
dāman ulajh gayā to pukāre babūl hai
baaqī hai pau phaTe bhī sitāroñ kī raushnī
shāyad marīz-e-shab kī tabī.at malūl hai
jab mo'atabar nahīñ thā mirā ishq-e-bad-gumāñ
ab husn-e-ḳhud-farosh kā ronā fuzūl hai
luT kar samajh rahe haiñ ki nādim hai rāhzan
kitnī hasīn ahl-e-muravvat kī bhuul hai