rañg judā āhañg judā mahkār judā
pahle se ab lagtā hai gulzār judā
naġhmoñ kī taḳhlīq kā mausam biit gayā
TuuTā saaz to ho gayā taar se taar judā
be-zārī se apnā apnā jaam liye
baiThā hai mahfil meñ har mai-ḳhvār judā
milā thā pahle darvāze se darvāza
lekin ab dīvār se hai dīvār judā
yaaro maiñ to niklā huuñ jaañ bechne ko
tum koī ab socho kārobār judā
sochtā hai ik shā.ir bhī ik tājir bhī
lekin sab kī soch kā hai me.aar judā
kyā lenā is girgiT jaisī duniyā se
aa.e rañg nazar jis kā har baar judā
apnā to hai zāhir-o-bātin ek magar
yāroñ kī guftār judā kirdār judā
mil jaatā hai mauqa ḳhūnī lahroñ ko
hāthoñ se jab hote haiñ patvār judā
kis ne diyā hai sadā kisī kā saath 'qatīl'
ho jaanā hai sab ko āḳhir-kār judā