vahī gesuoñ kī uḌaan hai vahī ārizoñ kā nikhār hai
ye kisī kī shān-e-varūd hai ki mirī nazar kā vaqār hai
tirī ḳhud-pasand navāzisheñ mirā jī lubhā ke guzar ga.iiñ
magar uf ye dīda-e-mutma.in jo gadā-e-rāh-guzār hai
abhī koñpaloñ meñ vo ras kahāñ jo guloñ kā ruup badal sake
abhī gul-farosh ke haath se hameñ ehtiyāj-e-bahār hai
mirī sādgī ke ḳhulūs ne tujhe baḳhsh dī vo barahnagī
jo nafas nafas kī hai tishnagī jo nazar nazar kī pukār hai
yahī dil-fareb tajalliyāñ mujhe do-jahāñ se aziiz huuñ
magar ai jamāl-e-sahar-numā mirā ghar jo tīra-o-tār hai
ġham-e-zāt se mirī zindagī ġham-e-kā.enāt meñ Dhal ga.ī
kisī bazm-e-nāz meñ kho ke bhī mujhe kā.enāt se pyaar hai