daa.eñ baazū meñ gaḌā tiir nahīñ khīñch sakā
is liye ḳhol se shamshīr nahīñ khīñch sakā
shor itnā thā ki āvāz bhī Dabbe meñ rahī
bhiiḌ itnī thī ki zanjīr nahīñ khīñch sakā
har nazar se nazar-andāz-shuda manzar huuñ
vo madārī huuñ jo rahgīr nahīñ khīñch sakā
maiñ ne mehnat se hathelī pe lakīreñ khīñchīñ
vo jinheñ kātib-e-taqdīr nahīñ khīñch sakā
maiñ ne tasvīr-kashī kar ke javāñ kī aulād
un ke bachpan kī tasāvīr nahīñ khīñch sakā
mujh pe ik hijr musallat hai hamesha ke liye
aisā jin hai ki koī piir nahīñ khīñch sakā
tum pe kyā ḳhaak asar hogā mire sheroñ kā
tum ko to mīr-taqī-'mīr' nahīñ khīñch sakā