kamāl-e-shauq-e-safar bhī udhar hī jaatā hai
kisī safar kā musāfir ho ghar hī jaatā hai
vo aadmī hī to hotā hai ġham kī shiddat se
hazār koshisheñ kar le bikhar hī jaatā hai
vo hijr ho ki tire vasl kā koī lamha
vo mustaqil nahīñ hotā guzar hī jaatā hai
jo is se pahle bhī shīshe meñ baal aayā ho
to dil kisī na.ī ulfat se Dar hī jaatā hai
chaḌhā huā koī dariyā ho yā ki nashsha ho
'yashab' kabhī na kabhī to utar hī jaatā hai