kahūñ kyā fasāna-e-ġham use kaun māntā hai
jo guzar rahī hai mujh par mirā dil hī jāntā hai
tū sabā kā hai vo jhoñkā jo guzar gayā chaman se
na vo raunaqeñ haiñ baaqī na kahīñ suhāntā hai
use maiñ nasīb jānūñ kī bashar kī ḳhud-farebī
koī bhar rahā hai dāman koī ḳhaak chhāntā hai
tirā yuuñ ḳhayāl aayā mujhe ġham kī dopahar meñ
koī jaise apnā āñchal mire sar pe tāntā hai
maiñ nizām-e-zar kī devī se 'qatīl' āshnā huuñ
kahīñ naam us kā salmā kahīñ chandrkānta hai