ta.alluq us se agarche mirā ḳharāb rahā
qasam safar kī vahī ek ham-rikāb rahā
samajh sakā na use maiñ qusūr merā hai
ki mere sāmne to vo khulī kitāb rahā
maiñ ek lafz bhī lekin na paḌh sakā us ko
agarche vo bhī mirā shāmil-e-nisāb rahā
maiñ ma.arifat ke huuñ ab us maqām par ki jahāñ
kiyā gunāh bhī to ḳhadsha-e-savāb rahā
haqīqatoñ se mafar chāhī thī 'yashab' maiñ ne
par asl asl rahā aur ḳhvāb ḳhvāb rahā