aisā bhī nahīñ dard ne vahshat nahīñ kī hai
is ġham kī kabhī ham ne ishā.at nahīñ kī hai
jab vasl huā us se to sarshār hue haiñ
aur hijr ke mausam ne ri.āyat nahīñ kī hai
jo tū ne diyā us meñ izāfa hī huā hai
is dard kī daulat meñ ḳhayānat nahīñ kī hai
ham ne bhī abhī khol ke rakkhā nahīñ dil ko
tū ne bhī kabhī khul ke vazāhat nahīñ kī hai
is shahr-e-badan ke bhī ajab hote haiñ manzar
lagtā hai abhī tum ne siyāhat nahīñ kī hai
is arz-e-tamannā meñ kise chain milā hai
dil ne magar is ḳhauf se hijrat nahīñ kī hai
ye dil ke ujaḌne kī alāmat na ho koī
milne pe ghaḌī-bhar ko bhī hairat nahīñ kī hai