vo jo ek chehra damak rahā hai jamāl se
use mil rahī hai ḳhushī kisī ke ḳhayāl se
maiñ ne sirf ek hī dā.ere meñ safar kiyā
kabhī be-niyāz bhī kar mujhe mah-o-sāl se
kabhī hañs ke ḳhud hī gale se us ko lagā liyā
kabhī ro diye haiñ lipaT ke ḳhud hī malāl se
tujhe kyā ḳhabar ki vo kaun hai sar-e-rahguzar
kabhī sarsarī na guzar kisī ke savāl se
vo jo muskurā ke guzar rahā hai qarīb se
use āshnā.ī zarūr hai mere haal se
mujhe aasrā bhī nahīñ kisī kī duāoñ kā
mujhe ḳhauf aatā hai yuuñ bhī vaqt-e-zavāl se
'yashab' apne aap se mil ke kitnā bhalā lagā
mujhe fursateñ hī nahīñ milīñ ka.ī saal se