Yashab Tamanna

KHwab tabir mein badalta hai

Yashab Tamanna

Lahore, Punjab, Pakistan

1957
ḳhvāb ta.abīr meñ badaltā hai
us meñ lekin zamāna lagtā hai
jab use chāhateñ mayassar hoñ
ḳhud-baḳhud aadmī badaltā hai
pahle ye dil kahāñ dhaḌaktā thā
ab har ik baat par dhaḌaktā hai
haañ mirī ḳhvāhisheñ ziyāda haiñ
haañ vo is baat ko samajhtā hai
sar-ba-sar vasl kī tamannā meñ
vo badan ruuh meñ utartā hai
raat bhī ban-sañvar ke aatī hai
din bhī utrā ke ab nikaltā hai
ho ke said-e-ġham-e-jahāñ ye khulā
ġham se ik rāsta nikaltā hai
Top Urdushayar.com