hamesha ḳhūn-e-shahīdāñ ke rañg se ābād
ye karbalā-e-muallā ye basra o baġhdād
jahāñ ko phir se naved-e-bahār dete haiñ
abū-ġharīb kī jailoñ ke kuchh sitam-ījād
hayāt-o-marg ke sab marhale tamām hue
kafan lapeT ke nikle haiñ harche-bād-abād
purānī bastiyāñ sab ḳhāk-o-ḳhūñ meñ ġhaltāñ haiñ
''kareñge ahl-e-nazar taaza bastiyāñ ābād''
laboñ pe ḳhair ke na.are haiñ aur kuchh bhī nahīñ
diloñ meñ jaag rahā hai zamīr-e-ibn-e-ziyād
iraq ḳhūn-e-shahīdāñ se surḳh-rū hogā
bamoñ ke Dher haiñ launcher haiñ tesha-e-farhād
pahuñch ga.e haiñ ham aise dayār meñ ki 'vahīd'
jahāñ gunāh to lāzim hai nekiyāñ barbād