ġham ke hāthoñ shukr-e-ḳhudā hai ishq kā charchā aam nahīñ
galī galī patthar paḌte hoñ ham aise badnām nahīñ
vo bhī kyā din the jin rozoñ be-fikrī meñ sote the
ab kaisī uftād paḌī hai chain nahīñ ārām nahīñ
dil ke ujaḌte hī āñkhoñ ne haif ye aalam dekh liyā
jalva sar-e-rah koī nahīñ hai koī ba-rū-e-bām nahīñ
jis ke asar se be-ḳhud ho kar apne ta.iiñ ham rusvā hoñ
mauj-e-mai-gul ke hāthoñ meñ aisā koī jaam nahīñ
dil kā ronā dil kā khonā laakh azāb-e-alīm sahī
himmat haar ke baiTh hī jaa.eñ ham aise nākām nahīñ