Waheed Quraishi

zamane phir nae sanche mein Dhalne wala hai

Waheed Quraishi

Mianwali, Punjab, Pakistan

1925-2009
zamāne phir na.e sāñche meñ Dhalne vaalā hai
zarā Thahar ki natīja nikalne vaalā hai
abhī hujūm-e-azīzāñ hai zer-e-taḳht-e-murād
magar zamāna chalan to badalne vaalā hai
huī hai nāqa-e-lailā ko sārbāñ kī talāsh
julūs shahr kī galiyoñ meñ chalne vaalā hai
zamīr apnī tamannā ko phir ugal degā
samundaroñ se ye sonā uchhalne vaalā hai
nayā azaab na.ī sub.hoñ kī talāsh meñ hai
ye mulk phir nayā qātil badalne vaalā hai
sadā-e-sub.h-e-bashārat ḳhabar sunā.egī
sulag rahā hai jo siina vo jalne vaalā hai
na.e azaab kī aamad hai aur ham haiñ 'vahīd'
azāb-e-daura-e-hāzir to Talne vaalā hai
Top Urdushayar.com