dasht-e-ġhurbat meñ agar saath tumhārā hotā
kyuuñ na sadiyoñ kā safar ham ko gavārā hotā
apnī taz.īn se kuchh vaqt bachā kar jānāñ
mere māhaul kī zulfoñ ko sañvārā hotā
apne masnad se zarā nīche utar kar tū ne
ek lamha hī mire saath guzārā hotā
ruk na jaatā vo kisī koh-e-girāñ kī mānind
tū ne gar vaqt ke dariyā ko pukārā hotā
mere be-nūr darīchoñ meñ ziyā kī ḳhātir
koī jugnū koī sūraj koī taarā hotā