faroġh-e-shām kā manzar us āftāb meñ thā
kiran kiran vo ujālā thā par hijāb meñ thā
tire badan kī tamāzat thī jis se aag lagī
chaman meñ barq na sho.ala koī gulāb meñ thā
mire qarīb rahā phir bhī mujh ko paḌh na sakā
mirā vajūd to mahfūz ik kitāb meñ thā
zamāne-bhar kī nazar se jo bach gayā yaaro
vo shaḳhs merī nigāhoñ ke intiḳhāb meñ thā
khulā jo nāma-e-a.amāl hashr meñ merā
bas ek jurm-e-mohabbat mire hisāb meñ thā
maiñ āshnā-e-mohabbat to be-qarār hī thā
vo āshnā-e-mohabbat na thā azaab meñ thā
maiñ dekhtā hī rahā pattharoñ kī bārish meñ
mire habīb kā chehra bhī ik naqāb meñ thā