zaḳhm to zaḳhm hai kuchh der meñ bhar jā.egā
lafz nashtar hai rag-e-jāñ meñ utar jā.egā
terī rahmat kā ye dariyā vo musāfir hai ki jo
merī bastī se dabe paañv guzar jā.egā
rañg kachchā hai tire shahr-e-vafā kā jānāñ
ġham kī ik lahr chalegī to utar jā.egā
aa terī maañg meñ is shaam kī surḳhī bhar duuñ
us kī taz.īn se ye husn nikhar jā.egā
is qadar maut ke sāmāñ kā hai ambār lagā
kal kā insān jo dekhegā to Dar jā.egā
zulm kī dhuup meñ nafrat to panap saktī hai
pyaar to phuul hai is dhuup meñ mar jā.egā
pahle barbād to kar le ye zamīñ kā chehra
phir ye insān kisī aur nagar jā.egā