Pundit Amar Nath Hoshiyarpuri

kaun-o-makan se dur zamin-o-zaman se dur

Pundit Amar Nath Hoshiyarpuri

1921
kaun-o-makāñ se duur zamīn-o-zaman se duur
manzil mirī hai jannat-o-ḳhuld-o-adan se duur
tā-umr jis kā jism rahā pairahan se duur
nauhagar us kī laash bhī rakkheñ kafan se duur
pal chhan nikal rahī haiñ ġharīboñ kī arthiyāñ
is taur ho rahī hai ġharībī vatan se duur
āñkheñ baras rahī haiñ chaman kī hudūd meñ
bādal baras rahe haiñ hudūd-e-chaman se duur
koī yahāñ to koī vahāñ sirf kār-e-ḳhvesh
gulchīñ darūn-e-bāġh shikārī chaman se duur
jāñbāz hai to bhaag ke dār-o-rasan ko chuum
mansūr hai to bhaag na dār-o-rasan se duur
āb-e-hayāt se bhī na hogā ilāj-e-ġham
hoñge ye taaza ġham na sharāb-e-kuhan se duur
Top Urdushayar.com