patjhaḌ ke nazāroñ kī taraf dekh rahā huuñ
be-kaif bahāroñ kī taraf dekh rahā huuñ
taqdīr ke māroñ kī taraf dekh rahā huuñ
maiñ Dūbte tāroñ kī taraf dekh rahā huuñ
phir dostoñ yāroñ kī taraf dekh rahā huuñ
sāñpoñ kī qatāroñ kī taraf dekh rahā huuñ
haiñ dafn jahāñ merī tamannāoñ ke ahrām
un ujḌe dayāroñ kī taraf dekh rahā huuñ
tū bhī to hazāroñ kī taraf dekh ḳhudārā
maiñ bhī to hazāroñ kī taraf dekh rahā huuñ
to ġhuncha hai ġhunchoñ kī taraf dekh rahā hai
maiñ ḳhaar huuñ ḳhāroñ kī taraf dekh rahā huuñ
sarshār kināre bhī haiñ ab Dūbne vaale
be-kār kināroñ kī taraf dekh rahā huuñ