Qateel Shifai

phul pe dhul babul pe shabnam dekhne wale dekhta ja

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
phuul pe dhuul babūl pe shabnam dekhne vaale dekhtā jā
ab hai yahī insāf kā aalam dekhne vaale dekhtā jā
parvānoñ kī raakh uḌā dī bād-e-sahar ke jhoñkoñ ne
sham.a banī hai paikar-e-mātam dekhne vaale dekhtā jā
jām-ba-jām lagī haiñ mohreñ mai-ḳhānoñ par pahre haiñ
rotī hai barsāt chhamā-chham dekhne vaale dekhtā jā
is nagrī ke rāj-dulāre ek tarah kab rahte haiñ
Dhalte saa.e badalte mausam dekhne vaale dekhtā jā
maslahatoñ kī dhuul jamī hai ukhḌe ukhḌe qadmoñ par
jhijak jhijak kar uḌte parcham dekhne vaale dekhtā jā
ek purānā madfan jis meñ dafn haiñ lākhoñ ummīdeñ
chhalnī chhalnī sīna-e-ādam dekhne vaale dekhtā jā
ek tirā hī dil nahīñ ghāyal dard ke maare aur bhī haiñ
kuchh apnā kuchh duniyā kā ġham dekhne vaale dekhtā jā
kam-nazroñ kī is duniyā meñ der bhī hai andher bhī hai
pathrāyā har dīda-e-pur-nam dekhne vaale dekhtā jā
Top Urdushayar.com