Pundit Amar Nath Hoshiyarpuri

haram-sara-e-naz hai ki dar-e-gah-e-niyaz hai

Pundit Amar Nath Hoshiyarpuri

1921
haram-sarā-e-nāz hai ki dar-e-gah-e-niyāz hai
nigāh-e-nīm-bāz bhī nigāh-e-nīm-bāz hai
idhar-udhar jahāñ-tahāñ majāz hī majāz hai
kahīñ kahīñ nasheb hai kahīñ kahīñ farāz hai
na tishnagī na ishtihā na hirs hai na aar hai
zabān-e-ġhaznavī pe ab ayaaz hī ayaaz hai
na mai-kade kī baat kar na but-kade kī baat kar
vahāñ bhī imtiyāz hai yahāñ bhī imtiyāz hai
bashar bashar ko dekh kar gulāb kī tarah khile
yahī mirī azaan hai yahī mirī namāz hai
vo ā.eñge nahīñ-nahīñ nahīñ-nahīñ vo ā.eñge
ye raaz raaz hī rahe dil-e-hazīñ ye raaz hai
kisī se dostī nahīñ kisī se dushmanī nahīñ
na ḳhaar se kashā-kashī na gul se sāz-bāz hai
Top Urdushayar.com