Pundit Amar Nath Hoshiyarpuri

ku-ba-ku hota nahin ya dar-ba-dar hota nahin

Pundit Amar Nath Hoshiyarpuri

1921
kū-ba-kū hotā nahīñ yā dar-ba-dar hotā nahīñ
ḳhūn-e-nāhaq kis taraf shām-o-sahar hotā nahīñ
har shajar ai dīda-e-tar bārvar hotā nahīñ
har sadaf kī god meñ jaise guhar hotā nahīñ
sunte aa.e haiñ ki shar kā badla shar hotā nahīñ
āj-kal ke daur meñ aisā magar hotā nahīñ
hai mirā honā na honā us parinde kī tarah
ek par hotā hai jis kā ek par hotā nahīñ
tere dīvāne ko dekhā hai hamesha sar-ba-kaf
tere dīvāne kā dil hotā hai sar hotā nahīñ
āj-kal kyā kuchh nahīñ hotā ḳhudā ke naam par
āj-kal kyā kuchh ḳhudā ke naam par hotā nahīñ
mohtaram qānūn-sāzo ye bhī kyā qānūn hai
ek bhī qānūn aa.ed aap par hotā nahīñ
Top Urdushayar.com