Faraz Mahmood Fariz

sada-e-kun se bhi pahle kisi jahan mein the

Faraz Mahmood Fariz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1993
sadā-e-kun se bhī pahle kisī jahān meñ the
vajūd meñ na sahī ham ḳhudā ke dhyān meñ the
ve kitne ḳhush the jo kuchh bhī na jānte the magar
jo jānte the ve har dam ik imtihān meñ the
kisī ko haq kī talab thī koī majāz pe thā
aur ek ham the ki donoñ ke darmiyān meñ the
haqīqatoñ meñ utarne se thoḌā pahle bhī
janāb aap mire ḳhāna-e-gumān meñ the
mujhe to rasta badalne meñ ḳhauf aatā thā
magar vo hausle jo mere raftagān meñ the
vafā kareñge agar ham vafā milegī hameñ
'farāz' pahle-pahal ham bhī is gumān meñ the
Top Urdushayar.com