Faraz Mahmood Fariz

bhale bujhane ki zid pe hawa uDi hui hai

Faraz Mahmood Fariz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1993
bhale bujhāne kī zid pe havā uḌī huī hai
magar charāġh kī lau aur bhī baḌhī huī hai
maiñ sochtā huuñ use sar pe rakh liyā jaa.e
zamīn kab se mire paañv meñ paḌī huī hai
tumhāre lahje kī luknat batā rahī hai mujhe
ki tum ne ḳhud se hī ye dāstāñ gaḌhī huī hai
koī batā.e ġhazāla ko maiñ shikārī huuñ
vo be-takān mirī raah meñ khaḌī huī hai
ye rañg rañg libāsoñ meñ kuchh nahīñ hai 'farāz'
ki sab kī asal qabā ḳhaak se juḌī huī hai
Top Urdushayar.com